Header Ads

Main logon se Mulaqaton k Lamhay yaad rakhta h

Main logon se Mulaqaton k Lamhay yaad rakhta hon,​

Main baatein bhool bhi jaon to Lehjay yaad rakhta hon,​

​

Sar-e-Mehfil Nigahein Mujhpe jin logon ki parti hain,​

Nigahon k ma'inay se woh Chehray yaad rakhta hon,​

​

Zara sa hat k chalta hon Zamanay ki rivayat se,​

K jin pe bojh main daalon wo kandhay yaad rakhta hon,​

​

Main Yun to bhool jata hon kharashein talkh baaton ki,​

Magar Jo Zakham Gehray dain wo rawaiye yaad rakhta hon!!​

No comments:

Powered by Blogger.