Header Ads

Shahon Ki Tarah Thay Na Ameeron Ki Tarah Thay

Shahon Ki Tarha Thay
Na Ameeron Ki Tarha Thay

Hum Shehr-E-Mohabbat K
Faqeeron Ki Tarha Thay

Daryaoun Mein Hotay Thay
Jazeeron Ki Tarha

Hum Sehraoun Mein Pani K
Zakheeron Ki Tarha Thay

Afos K Samjha Na Hame Ehl-E-Nazar Ne
Hum Waqt Ki Zanbeel Mein Heeron Ki Tarha Thay

Gham Toq Gulo,
Paon Mein Zajeer Ana Ki Azaad Bhi Thay

Hum Tou Aseeron Ki Tarha Thay
Ab Reh Gaey Hum Sirf Riwayat Ki Soorat

Jab Thay Tou Hama Rung Nazeeron Ki Tarha Thay
Hairat Hai K Woh Log Bhi
Ab Chorr Chalay Hein

Jo Shafqat Ki Hatheli Pay
Lakeeron Ki Tarha Thay

Sochi Na Buri Soch Kabhi
Un K Liyeh Bhi

Paiwasta Mere Dil Mein Jo Teeron Ki Tarha Thay ....

No comments:

Powered by Blogger.