Woh Kehti Hai Suno Jana Muhabbat Mom Ka Ghar Hai
Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De is ko
Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti
Wo Kehti Hai Sada Aisay Hi
Kiya tum Mujh Ko Chaho Gaye
Keh Main Is Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nahi Sakti
Main Kehta Hoon
Mohabbat Kiya Hai
Yeh Tum Nay sikhaya Hai
Mujay Tum Say Mohabbat K Siwa
Kuch Bhi Nahi Aata
Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab
Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Bohat Mujh Ko satatay Hain
Mager Sach Hai
Mohabbat Main "
Judai Saath Chalti Hai "
Wo Kehti Hai
Batao Kiya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,
Meri Yaadien,
Meri Ankhien
Bhula Do gaye?
Main Kehta Hoon
Kabhi iss Baat Per Socha Nahi Main Nay
Ager Ik Pal Ko B Sochon To
Saansien Ruknay Lagti Hain
Wo Kehti Hai Tumhien Mujh Say
Mohabbat Is Qader Kyu Hai
Keh Main Ik Aam Si Larki
Tumhien Kyu Khaas Lagti Hoon
Main Kehta Hoon
Kabhi Khud Ko Meri Ankhon Say Tum Dekho
Meri Dewangi Kyu Hai
Yeh Kkhud He Jaan Jao Gi
Wo Kehti Hai
Mujay Warftgi Say Dekhtay Kyu Ho
Keh Main Khud Ko Bohat
Qeemti Mehsoos Krti Hoon
Main Kehta Hoon
Mata-E-Jaan Bohot Anmol Hoti Hai
Tumhien Jab Dekhta Hoon Zindagi
Mehsoos Krta Hoon
Wo Kehti Hai Mujay Alfaaz K Jugno Nahi Miltay
Keh Tumhien Bta Sakun
Keh Dil Main Mere
Kitni Mohabbat Hai
Main Kehta Hoon
Mohabbat To Niighaon Say Jhalkti Hai
Tumhari Khamoshi Mujh Say
Tumhari Baat Karti Hai
Wo Kehti Hai
Batao Na Kis Ko Khonay Say Darte Ho
Batao Kon Hai Wo Jisay
Yeh Mosam Bulatay Hain
Main Kehta Hoon
Yeh Meri Shaayeri Hai Aiena Dil Ka
Zara Dekho Batao Kiya
Tumhien Is Main Nazar Aya
Wo Kehti Hai
Suno!!!
Bohat Baatien Banatay Ho
Mager Sach Hai Yeh Baatien
Bohat Hi Shaad Rakhti Hain
Main Kehta Hoon
Yeh Sab Baatien
Yeh Fasaany
Ik Bahana Hain
Keh Pal Kuch Zindagani K
Tumhare Saath Kat Jayen
Phir Us K Baad Khamoshi Ka
Dilkash Raqs Hota Hai
Nigahein Bolti Hai
Or
Lab Khamosh Rehtay Hain
Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Mom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahi Pighla Na De iss ko
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De is ko
Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti
Wo Kehti Hai Sada Aisay Hi
Kiya tum Mujh Ko Chaho Gaye
Keh Main Is Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nahi Sakti
Main Kehta Hoon
Mohabbat Kiya Hai
Yeh Tum Nay sikhaya Hai
Mujay Tum Say Mohabbat K Siwa
Kuch Bhi Nahi Aata
Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab
Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Bohat Mujh Ko satatay Hain
Mager Sach Hai
Mohabbat Main "
Judai Saath Chalti Hai "
Wo Kehti Hai
Batao Kiya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,
Meri Yaadien,
Meri Ankhien
Bhula Do gaye?
Main Kehta Hoon
Kabhi iss Baat Per Socha Nahi Main Nay
Ager Ik Pal Ko B Sochon To
Saansien Ruknay Lagti Hain
Wo Kehti Hai Tumhien Mujh Say
Mohabbat Is Qader Kyu Hai
Keh Main Ik Aam Si Larki
Tumhien Kyu Khaas Lagti Hoon
Main Kehta Hoon
Kabhi Khud Ko Meri Ankhon Say Tum Dekho
Meri Dewangi Kyu Hai
Yeh Kkhud He Jaan Jao Gi
Wo Kehti Hai
Mujay Warftgi Say Dekhtay Kyu Ho
Keh Main Khud Ko Bohat
Qeemti Mehsoos Krti Hoon
Main Kehta Hoon
Mata-E-Jaan Bohot Anmol Hoti Hai
Tumhien Jab Dekhta Hoon Zindagi
Mehsoos Krta Hoon
Wo Kehti Hai Mujay Alfaaz K Jugno Nahi Miltay
Keh Tumhien Bta Sakun
Keh Dil Main Mere
Kitni Mohabbat Hai
Main Kehta Hoon
Mohabbat To Niighaon Say Jhalkti Hai
Tumhari Khamoshi Mujh Say
Tumhari Baat Karti Hai
Wo Kehti Hai
Batao Na Kis Ko Khonay Say Darte Ho
Batao Kon Hai Wo Jisay
Yeh Mosam Bulatay Hain
Main Kehta Hoon
Yeh Meri Shaayeri Hai Aiena Dil Ka
Zara Dekho Batao Kiya
Tumhien Is Main Nazar Aya
Wo Kehti Hai
Suno!!!
Bohat Baatien Banatay Ho
Mager Sach Hai Yeh Baatien
Bohat Hi Shaad Rakhti Hain
Main Kehta Hoon
Yeh Sab Baatien
Yeh Fasaany
Ik Bahana Hain
Keh Pal Kuch Zindagani K
Tumhare Saath Kat Jayen
Phir Us K Baad Khamoshi Ka
Dilkash Raqs Hota Hai
Nigahein Bolti Hai
Or
Lab Khamosh Rehtay Hain
Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Mom Ka Ghar Hai
Tapish Bad Gumani Ki
Kahi Pighla Na De iss ko
No comments: