Roz Taaron Ki Numaish Me Khalal Padta Hai

Chand Pagal Hai Andhere Mein Nikal Padta Hai,
Aik Deewana Musafir Hai Meri Ankhon Mein
Waqt Be-waqt Thehar Jata Hai Chal Padta Hai,
Apni Tabeer Ke Chakkar Mein Mera Jagta Khawab
Roz Suraj Ki Tarha Ghar Se Nikal Padta Hai,
Roz Pathar Ki Himayat Mein Ghazal Likhte Hain
Roz Sheeshon Se Koi Kam Nikal Padta Hai,
Us Ki Yaad Aai Hai Saanso Zara Ahista Chalo
Dhadkano Se Bhi Yaadon Mein Khalal Padta Hai.

No comments: