Header Ads

Bichar Ke Mujhse Kabhi Tune Ye Bhi Socha Hai

Bichar ke Mujh Se
Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai,


Adhura Chand Bhi Kitna Udaas Lagta Hai
Ye Khatme-Wasal Ka Lamha Hai
Raigaan Na
Samajh

Ke Is ke Baad Wohi Dooryon Ka Sehra Hai
Kuch Aur Der Na Jharna Udassiyon
Ke Shajar Kise Khabar
Tere Saye Main Kaun Baitha Hai?

Ye Rakh-Rakhao Muhabat Sikha Gaye Us Ko
Wo Rooth Ker Bhi Mujhe Muskura Ker Milta Hai
Main Kis Tarsh Tujhe Daikhon Nazar Jhijhakti Hai
Tera Badan Hai Ke Ye Ainoon Ka Darya Hai?
Kuch Is Kadar Bhi To Aasan Nahi Hai Ishq Tera
Ye Zeher Dil Main Utar Kar Hi Raas Aata Hai
Mai Tujh Ko Pa Ke Bhi Khoya Hua Sa Rehta Hoon
Kabhi Kabhi To Mujhe Tu Ne Theek Samjha Hai
Mujhe Khabar Hai Ke Kya Hai Judaiyon Ka
Aazaab
Ke Main Ne Shaakh Se Gul Ko Bicharte Dekha Hai
Mai Muskura Bhi Para Hun To
Kyon Khafa Hain

Ye Log Ke Phool Tooti Hui Qabar Par Bhi Khilta Hai
Isay Ganwaa Ke Main Zinda Hoon
Is Tarah Ke Jaise Taiz Hawa Main Chiraagh Jalta Hai…

No comments:

Powered by Blogger.