Baat Nikle Gi To Door Talak Jaegi
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi
Log Be-Waja Udaasi Ka Sabab Puchen Ge
Ye Bhi Puchen Ge K Tum Itni Preshan Kiun Ho
Ungliyan Uthen Gi Sookhy Hue Baalon Ki Taraf
Ek Nazar Dekhen Ge Guzry Hue Saalon Ki Taraf
Chooriyon Par Bhi Kayi Tanz Kiye Jaenge
Kanpty Hathon Pe Fikry Bhi Kassy Jaenge
Log Zalim Hain Her Ek Baat Ka Tana Denge
Baaton Baaton Me Mera Zikr Bhi Le Kar Aenge
Un Ki Baaton Ka Zara Sa Bhi Asar Mat Lena
Warna Chehry K Ta'asur Se Samajh Jaenge
Chahe Kuch Bhi Ho Sawalaat Na Karna Un Se Mere Bary Me Koi Baat Na Karna Un Se
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi...

No comments: