Abhi Kuch Bhi Nahi Badla
Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskurate hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamare sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki
khushbu Raqss karti hai,
Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawab
hanste hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon se likhe sab harf
zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti
hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parne waley
sarey naqsh qayem hain,
Abhi almaariyon mein sare tohfey gungunate
hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujhse,
Tumhari baat karte hain,
Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahi beeti,
Meri himmat nahi guzri,
Abhi kuch bhi nahi badla,
Abhi kuch bhi nahi badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…

No comments: